《Baarish》是Gulzar演唱的歌曲,收录于专辑《Kab Aate Ho… Kya Aapko Inhi Ki Talash Thi?》,时长 1:41。以下为完整歌词。
Der tak baithe hue dono
Ne baarish dekhi
Wo dikhati thi mujhe bijli
Ke taaron pe latakti hui boondein
Jo taqub me thi ek dusre ke
Aur ek dusre ko chhute
Hi taaro se tapak jati thi
Mujhko ye fikr ke bijli ka current
Chu gaya nangi kisi taar se toh
Aag ke lag jane ka bhayas hoga
Usne kaagaz ki kai kashtiyaan
Paani me utaari
Aur ye keh ke baha di ke
Samander me milenge
Mujhko ye fikr
Ke is baar bhi sailab ka paani
Kud ke utrega kohsahr se jab
Tod ke le jayega ye kachhe kinaare
Ouk me bharke wo barsaat ka paani
Adhbhari jheelon ko tarsaati rahi
Wo bohut choti thi kamsin thi
Woh masoom bohut thi
Aabisharon ke tarannum pe
Kadam rakhti thi
Aur goonjti thi
Aur main umr ke ifkaar me ghoom
Tajurbe-humraah liye
Saath hi saath mein
Behta hua
Chalta hua
Behta gaya
在线收听
本站不提供音频,点击跳转到正版平台。
专辑《Kab Aate Ho… Kya Aapko Inhi Ki Talash Thi?》曲目
- Baarish1:41
常见问题
《Baarish》是谁唱的?
Gulzar。
《Baarish》收录在哪张专辑?
收录于《Kab Aate Ho… Kya Aapko Inhi Ki Talash Thi?》。
《Baarish》的歌词可以在哪里看?
就在本页,完整歌词已按段落展示。