Jise zindagi dhoondh rahi hai
Kya yeh woh mukaam mera hai
Yahan chain se bas ruk jaun
Kyun dil yeh mujhe kehta hai
Jazbaat naye se mile hai
Jane kya asar yeh hua hai
Ek aas mili phir mujhko
Joh qubool kisi ne kiya hai
Haan ... kisi shayar ki ghazal
Joh de rooh ko sukoon ke pal
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Naye mausam ki sehar
Ya sard mein dopehar
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Hmmm ... mmm
Hmmm ... mmm
Jaise koi kinara
Deta ho sahara
Mujhe woh mila kisi modh par
Koi raat ka taara
Karta ho ujala
Waise hi roshan kare woh shehar
Dard mere woh bhula hi gaya
Kuch aaisa asar hua
Jeena mujhe phir se woh sikha raha
Hmmm ... jaise baarish kar de tar
Ya marham dard par
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Naye mausam ki sehar
Ya sard mein dopehar
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Muskata yeh chehra
Deta hai joh pehra
Jaane chupata kya dil ka samundar
Auro ko toh hardam
Saaya deta hai
Woh dhoop mein hai khada khud magar
Chot lagi hai usse phir kyun
Mehsoos mujhe ho raha
Dil tu bata de kya hai iraada tera
Hmmm ... main parinda besabar
Tha uda joh dar badar
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Naye mausam ki sehar
Ya sard mein dopehar
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Jaise banjaare ko ghar
Jaise banjaare ko ghar
Jaise banjaare ko ghar