Karta nahi kyun tu mujhpe yakeen
kyun mere dil ki tu sunta nahi
tere baGair kitna tanha sa hoon
aalam ye dil ka tu samjhe kabhi
hai pataa ye tujhe
na jee sakoonga bin tere
phir bhi kyun mujhse judaa...?
tu...
tu hi hai, tu hi to hai
mera junoon.
tu hi hai, tu hi to hai
dil ka sukoon.
tu hai, jiske bina main
jee na sakoon.
aa phir jiyein shaamein wahi
chal phir wahi hum baatein karein
bechainiyon ke phir silsile hon
phir dil mera ye aahein bhare
zyaada nahi to thoRi sahi
de de mujhe wohi zindagi
aa mere nazdeek tu
ye faasley mujhko gherein,
hai pata ye tujhe
na jee sakoonga bin tere
phir bhi kyun mujhse judaa..?
tu,
tu hi hai, tu hi to hai
mera junoon...
tu hi hai, tu hi to hai
dil ka sukoon.
tu hai, jiske binaa main
jee na sakoon.
qubool nigaahon ki
naa ho wo duaa
jisme yaar ke
deedaar ki talab naa ho
meri to har duaa mein tu hi hai
tu hi hai..
hai ye pata, jaana hi hai
raahon se teri door mujhe
mumkin nahi hai mere liye
par bhoolna hi hoga tujhe
ishq ke aage hai jo jahaan
ae dil le chal mujhko wahaan
jo bachi mujh mein teri
un khushbuon se tu kar rihaa
hai tujhe ab mera
haan alvida, alvidaa...
phir bhi kyun dil kehta
tu,
tu hi hai, tu hi to hai
mera junoon.
tu hi hai, tu hi to hai
dil ka sukoon.
tu wo hai, jiske bina main
jee na sakoon...
O.. dildaara...