《Magic Of Qawwali》专辑封面

歌词

Mannat Maange

《Mannat Maange》是Mujtaba Aziz Naza演唱的歌曲,收录于专辑《Magic Of Qawwali》,时长 4:53。以下为完整歌词。

Jab tu khuda se mannat mange

Usme her aur fer na kar

Jab tu khuda se mannat mange

Usme her aur fer na kar

Mannat ko pura karne me

E bande tu der na kar

Mannat ko pura na karna

Bande ki nadani hai

Wada khilafi hai ye khuda se

Aur ye na farmani hai

Mannat ko pura na karna

Bande ki nadani hai

Wada khilafi hai ye khuda se

Aur ye na farmani hai

Mannt ko jo todta hai

Usse naraz khuda ho jata hai

Uski nigaahe rahmo karam se

Phir wo juda ho jata hai

Mannat bhi wada hai ek khuda se

Tod ke tu andher na kar

Jab tu khuda se mannat mange

Usme her aur fer na kar

Puchhenge jab tujhse farishte

Har mannat ka hisab

Uske sawalo ka e bande

Tu hi bata kya dega jabab

Puchhenge jab tujhse farishte

Har mannat ka hisab

Uske sawalo ka e bande

Tu hi bata kya dega jabab

Jo tu farishto se kah dega

Anjane me bhul gaya

Tere bahane sun ke khuda fir

Tujhse ho jayega khafa

Bojh gunaho ka tu uthakar

Apne sar ko zer na kar

Jab tu khuda se mannat mange

Usme her aur fer na kar

在线收听

本站不提供音频,点击跳转到正版平台。

专辑《Magic Of Qawwali》曲目

  1. Mannat Maange4:53

常见问题

《Mannat Maange》是谁唱的?

Mujtaba Aziz Naza。

《Mannat Maange》收录在哪张专辑?

收录于《Magic Of Qawwali》。

《Mannat Maange》的歌词可以在哪里看?

就在本页,完整歌词已按段落展示。