Satrangi Re - Sonu Nigam (索鲁·尼格姆)/Kavita Krishnamurthy
Written by:A.R. Rahman/Tookool/Gulzar
Ishq par zor nahin
Hai yeh woh aatish Ghalib
Jo lagaye na lage
Aur bujhaye na bane
Jo lagaye na lage
Aur bujhaye na bane
Ishq par zor nahin
Hai yeh woh aatish Ghalib
Tu hi tu tu hi tu satrangi re
Tu hi tu tu hi tu manrangi re
Tu hi tu tu hi tu satrangi re
Tu hi tu tu hi tu manrangi re
Dil ka saaya humsaaya satrangi re manrangi re
Koi noor hai tu Kyun door hai tu
Jab paas hai tu ehsaas hai tu
Koi khwaab hai ya parchhayi hai satrangi re
Satrangi re
Is baar bata Muhzor hawa
Thehregi kahaan
Ishq par zor nahin
Hai yeh woh aatish Ghalib
Jo lagaye na lage
Aur bujhaye na bane
Jo lagaye na lage
Aur bujhaye na bane
Ishq par zor nahin
Hai yeh woh aatish Ghalib
Aankhon ne kuchh aise chhuaa
Halka halka uns huaa
Halka halka uns huaa
Dil ko mehsoos huaa
Tu hi tu tu hi tu jeene ki saari khushbu
Tu hi tu tu hi tu aarzoo aarzoo
Tere jism ki aanch ko chhoote hi
Mere saans sulagne lagte hain
Mujhe ishq dilaase deta hai
Mere dard bilakhne lagte hain
Tu hi tu tu hi tu jeene ki saari khushbu
Tu hi tu tu hi tu aarzoo aarzoo
Chhooti hai mujhe sargoshi se
Aankhon mein ghuli khamoshi se
Main farsh pe sajde karta hoon
Kuchh hosh mein kuchh behoshi se
Teri raahon mein uljha uljha hun
Teri baahon mein uljha uljha
Suljhane de hosh mujhe
Teri chaahon mein uljha hun
Teri raahon mein uljha uljha hun
Teri baahon mein uljha uljha
Suljhane de hosh mujhe
Teri chaahon mein uljha hun
Mera jeena junoon mera marna junoon
Ab iske siva nahin koi sukoon
Mera jeena junoon mera marna junoon
Ishq par zor nahin
Hai yeh woh aatish Ghalib
Jo lagaye na lage
Aur bujhaye na bane
Jo lagaye na lage
Aur bujhaye na bane
Ishq par zor nahin
Hai yeh woh aatish Ghalib